Disneyland 1972 Love the old s


Motivational Shayari

Motivational Shayari

PAGE=2

Nigaho Mein Manzil
By : Gagan (Views : 1526)

Nigaho mein manzil thi
gire aur gir kar sambhalte rahe
hawao ne bahut koshish ki
magar chirag aandhiyo mein bhi jalte rahe

 

Sambhal Jate Hai Log
By : Gagan (Views : 951)

har kadam par nit-naye saanchein mein dhal jate hai log
dekhte hi dekhte badal jate hai log
kis liye kijiye kisi ghum-ghasta jannat ki talaash
jab ke mitti ke khilone se bahal jate hai log
kitni sada dil hai ab bhi sunke awaaz-e-jaras
pesh-o-paas se bekhabar se nikal jate hai log
unki dosti ka ab bhi dam bharte hai aap
thokrein khakar tou suna hai sambhal jate hai log

 

Khwaab Zinda Rakh
By : Gagan (Views : 986)

agar aankhein teri zinda hai
to inn mein khwaab bhi zinda rakh
mayoosi le jati hai kufr ki janib
hardam ummeed-e-fatah rakh
ragon mein jab khoon rawan hai ab tak
to koshishein apni rawan rakh
na ummeed le jati hai nakaami ke janib
umangein apni jawan rakh.

 

Aapki Muskaan Kabhi
By : Gagan (Views : 882)

Aapki Muskaan Kabhi Hontho Se Na Chhute
Duniya Me Aapse Koi Kabhi Na Ruthe
Meherban Ho Khuda Itna Aap Par
Ke Aasman Ke Taare Bhi Aapki Marzi Se Tute

 

Phool Bankar Muskurana
By : Gagan (Views : 591)

Phool Bankar Muskurana Zindagi Hai
Muskurake Gum Bhulana Zindagi Hai
Zindagi Aise Matt Jiyo Ke Koi Fariyaad Kar Jaaye
Zindagi Aise Jiyo Ke Koi Phir Yaad Kar Jaaye

Tujhe Mile Tu Jo Chahe
By : Gagan(Views : 594)

Abre Rehmat Teri Chokhat Pe Barasti Nazar Aye
Har Lamha Teri Taqdir Sawarti nazar Aye
Bin Mange Tujhe Mile Tu Jo Chahe
Dua Khud Tere Hathon Ko Tarasti Nazar Aye

 

Seekh
By : Gagan... (Views : 679)

saahil jo samajh le moujon ko
kya khouf use tufaano se
mar kar hi to jeena hai
jeena hai yeh sikh liya parvaano se

 

Udaan-hausla
By : Gagan (Views : 645)

Manzil unhi ko milti hai
Jinke sapno me jaan hoti hai
Pankh se kuchh nahi hota
Hauslon se udaan hoti hai

 

Kuch Batain
By : Gagan (Views : 657)

kuchh batein thi uski aisi
kuchh main bhi thi behki behki
kya janu kya ishaara ho gaya
ke kuchh palon mein hi dil tumhara ho gaya

 

Salam Kar
By : Gagan... (Views : 999)

jugnu se andheron ka na yu ahatraam kar
suraj ko bulane ka koi intezaam kar

thakne laga hain zindagi ki rahghuzar pe tu
kuch der to us ped ke niche mukaam kar

aayega kinaara bhi kya tufaan se aage
baithe hain sabhi log yahan dil ko thaam kar

kuchh kar ki jag uthe tera soya hua zameer
awaargi ka bazm mein na subhe-shaam kar

ugte hue suraj ke kadam choomte hain sab
tu dubte suraj ko kabhi to salam kar

bach kya gaya hai likh raha hai tu jo vasihat
shero-ghazal ye apne bachchon ke naam kar

Na Badlo
By : Gagan... (Views : 882)

badla na apne aapko jo tha wahi rahe
milta rahe sabhi se magar darkat ajnabi rahe
duniya na jeet pao to haaro na khud ko tum
ik safar naya hoga yeh jaankar khush rahe
apni tarah sabi ko kisi ki talaash hai
fhir bhi hum jiske bhi kareeb hain dhur hi rahe
gujro jo baag se to dua maangte chalo
jisme khile hain fool vo daali hari rahe

 

Zindagi Degi Hassne Ke Mauke Hazaar Tumhein
By : Gagan (Views : 1394)

zindagi se na rakho kabhi koi shikayat tum
yeh hasne ke degi mauke hazaron tumhein
muqabla karo hasske pareshanion ka tum
agar musibat aaye koi jo zindagi mein tumhein
jo aisi soch rakhoge har baaar tum
safalta milegi hi aakhirkar tumhein
hansne ke mauke degi zindagi baar baar tumhein.

 

Raah
By : Gagan... (Views : 1086)

raah mein kaante ek do nahi hote
raah kaanton se bhari hoti hai
manzil us raah ke akhiri chor par khadi hoti hai
jahan har kadam par milti ek nayi chouti hai
dekh use jinke hounsle dagmagaate hain
ve manzil ko bhula kaanton mein ulajh jaate hain
jinki nigaah manzil par hoti hai
ve kaanton pe hi chalkar manzil ko paate hain.

 

Tufaan
By : Gagan... (Views : 1003)

tufaan ki kami nahi jeevan mein
ladte hue safar karna hoga
jo milenge zakhm safar-e-rahon mein
unhe hi zindagi ka tajurba kehna hoga
laakh zakhm khaane par bhi
har zakhm naya hoga
tajurba kitna hi kyu na ho
har safar naya hoga

 

Maahol
By : Gagan... (Views : 674)

maahol na udaas ho ye dhyaan mein rakho
murjhaye hue fool na guldaan mein rakho
ghar aapke aaye jo koi bhul jaye ghum
fool ka ek poudha dhalaan mein rakho
khushamdeed kehne se kuchh bhi nahi hoga
khuli muhabbat zara muskaan mein rakho
tum apne rakeebon ko bhul jao to accha
kuch apne rafheekon ko pehchaan mein rakho
kho jaaye na chehra kahi duniya ki bheed mein
chehre ki aaiyne...mein ek pehchaan si rakho
apni hi zindagi ke armaan na nikalo
auron ki bhalayi bhi zara dhyaan mein rakho

Har Kadam Par....
By : Gagan... (Views : 1410)

zindagi se na koi bhi shikayat rakho...
duniya se na koi bhi adawat rakho...
guzaarne ke liye hai sukoon se ye zindagi...
chhupakar aulaad se tum apni vasiyat rakho....
tehzeeb na khatm hopaye apni...
zamane mein zinda apni siyasat rakho...
in khazano ko har roz lutate ho tum...
garibon ke liye baaki riyayat rakho...
achhe logo ki kadr na rahi ye mana...
saleeke mein phir bhi insaaniyat rakho...
zindagi de deti hai bahut kuch "Gagan"...
har kadam pe saaf apni niyat rakho....

 

Hunar Bolte Hai......
By : Gagan (Views : 1120)

parindon ko manzil milengi yakeenan
yeh faile hue unke par bolte hai

wohi log rehte hai khaamosh aksar
zamaane mein jinke hunar bolte hai......

 

TU KAI DILON KA
By : Gagan (Views : 1034)

Tere Liye Jo Rab Ne Sajaya Hai
Gulsitaan Nahi Sari Bahaar Hai
Tujhe Ek Gul Ki Talaash Hai Aur
Gulshan Ko Tera Intezaar Hai
Na Ho Tu Udaas Yaqeen Rakh
Zara Apne Sapne Sanwaar Le
Na Tu Dil Ko Apne BeQaraar Kar
Tu Kai Diloon Ka Qaraar Hai.

 

Manzil....
By : Gagan... (Views : 1721)

koshishon ke bawajood....
ho jaati hai kabhi haar...
hoke niraash mat baithna...
mann ko apne maar...
badte rahna aage sada...
ho jaisa bhi mousam...
paa leti manzil chinti bhi...
gir gir ke har baar...

 

Ahmiyat Aapki Kitni Hai..
By : Gagan(Views : 1901)

Na kabhi yeh chupaya ki pyaar kitna hai..
Na kabhi yeh jataya ki Dard kitna hai..
Bas hamare uss Ek khuda ko malum hai..
Hamari zindagi me ahmiyat aapki kitni hai..

Jag Ko Jaagao Jhoom Ke..
By : Gagan(Views : 1649)

Composed especially for VoiceFM...

Juhiji aur Jijuji Jiyo aur Jeete raho Jindaagi Jindaadilli se..
Jag ko Jaagao Jhoomke Jhoom Jhoom Jeevit Jhankaaro se..
Jabtak Jag Jaag na Jaye sare..
Jadoo bhari baato se Jeeto Joshile Jeevan sare..
Jinki khushiya hai Jagmaagati Jugnu ki roshni mein..
Jyot Jalao Jaan bhardo Jalwe bhare Jhaankaro se..
Joh Jodd ti hai dillo ki duriya de kay Jadoo ki Japiya..
Jam ke Jamao Jadoo itna ki VoiceFM104.2 ko Jaan Jaye Jagme sare..

 

MITTI HAI TO
By : Gagan (Views : 1691)

Mitti hai pal bhar mein bikhar jayeange hum log,
Khushbu hai to har dor ko mahaka jayeange hum log,
Hum roohe safar hain hame naamo se na pahchano,
Kal kisi aur naamo se aa jayeange hum log.

 

Hosley Buland Kar
By : Gagan (Views : 1660)

Hosley buland kar raaston par chal de,
Tujhe tera mukaam mil jayega,
Akela tu pehel kar,
Kaafila khud bann jayega,
Maysoos ho kar na umeedon ka daman chhod,
Varna khuda naraz ho jayega,
Thokron se na tu ghabra,
Har padaav par apne aap ko aur mazboot payega,
Nakamyabi ki dhund se na ghabrana,
Kaamyabi ka suraj teri takdeer roshan kar jayega.

 

Honsle 1
By : Gagan (Views : 1298)

Chaand se hassen hai chandni,
Chandni se hassen hai raat,
Raat se hassen hai zindagi,
Aur woh zindagi hain aap.

 

Honsle
By : Gagan (Views : 1347)

jinke honslo mein udaan hoti hai wo aasmaan ki uchayion se nahi darte


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter